Song: Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi
Song writer: Sahir Ludhianvi
Singer: Mohammed Rafi
Picturised on Bharat Bhushan, Madhubala
Music By: Roshan Lal
Movie: Barsaat Ki Raat
Also sung by Sonu Nigam as a Tribute to Mohammed Rafi in album kal aaj aur kal Rafi(2008)
Year: 1960 (60s)
Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi Yeh Barsaat Ki Raat Lyrics:
hmmmm hmmmm
Zindagi bhar nahin bhoolegio woh barasaat ki raat
ek anjaan haseena se mulakaat ki raat
zindagi bhar nahin bhoolegi ...
haaye wo reshmi
zulfon se barasta paani
haaye wo reshmi
zulfon se barasta paani
phool se gaalon pe
rukne ko tarastaa paani
dil mein toofan uthaate hue
dil mein toofan uthaate hue
jazbaat ki raat
zindagi bhar nahi bhoolegi
dar ke bijli se achanak
wo lipatna uska
aur phir sharm se
bal kha ke simatna uska
kabhi dekhi na suni aisi ho
kabhi dekhi na suni aisi
tilismaat ki raat
zindagi bhar nahi bhoolegi
surkh aanchal ko daba kar
jo nichoda usne
surkh aanchal ko daba kar
jo nichoda usne
dil pe jalta hua
ek teer sa chhoda usne
aag paani mein lagate hue
aag paani mein lagate hue
haalaat ki raat
zindagi bhar nahi bhoolegi
mere naghmo mein
jo basti hai wo tasveer thi wo
naujawaani ke haseen
khwaab ki taabir thi wo
aasmano se utar aayi ho
aasmano se utar aayi thi
jo raat ki raat
zindagi bhar nahi bhoolegi
wo barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhoolegi
0 comments:
Post a Comment